बुधवार, 14 फ़रवरी 2018

TOP 9 ANDRIOD GAMES IN HINDI

hello, friends aaj me AV HINDI CREATOR lekr aaya hu aapke liye kuch top andriod games, jo lgbhg all time best rhe hai, to agr aap ne en games ko abhi tk nhi khela to, ek baar khel kr try jrur kijiyega.
en games ko mene unki playstore rating, unke download rating or apne personal experience ko dhyan me rkh kr es blog me add kiya hai, to pdhte rhiye mera ye blog.




So let's start--



1.CLASH OF CLANS:-

to friends meri es list me no.1 pr aata hai CLASH OF CLANS, or mere khyal se es game ko aapme se jyadatr ne khel rkha hoga ya es ke baare me suna hoga.
to chliye me btata hu ki ye game hai kya or ye etna popular kyo hai.

to dosto es game ko bna ne vaali compeny ka name SUPERCELL hai, or yhe ek STRATEGY games hai, es ka mtlb es game ko aap apne dosto ke sath mil kr ek team ki trhe khel skte ho.

es game me aap apne dosto ke sath mil kr kisi clan ko join kr ke ya apni kudh ki clan bna kr WAR kr skte ho.
es ke sath hi apne dosto ke sath chatting kr skte ho.
or kudh ke personal attks kr skte ho kisi durse player pr apni ARMY ki help se.

ye game ONLINE game hai.
ye ek STRATEGY game hai.
es ki playstore RATING 4.6 hai.
es game ko ab tk 100 MILLION se bhi jyada baar download kiya ja chuka hai.
es game ki download size 95MB hai.



2.CLASH OF ROYALE:-

yhe game meri list me no.2 pr aata hai kyo ki ye bhi ek all time best game hai.
es game ko bna ne vali compeny ka name SUPERCELL hai jisne CLASH OF CLANS game bnaya tha.
es game me bhi clash of clan ki hi trhe clan bnti hai or apne friends ke sath khel skte hai, lekin es me aap war nhi kr skte or achi baat yhe hahai ki es me aap ko kuch upgred nhi krna hota.
es me aap ko apne luck pr card milte hai jin se aap real time me game me apne prtidvendi se fight kr skte hai.
cards COMMON, RARE, EPIC OR LEGENDARY ke type me hote hai.
en me legendary card bhot mushkil se milte hai, es ke sath hi aap ko new cards ke liye battel krni pdti hai or trophies ko bdhana pdta hai.
es me CLASH OF CLANS ki trhe troops bn ne ka intjar nhi krna pdta, app cha hai tb fight kr skte hai kitni bhi baar.

ye ek ONLINE GAME hai.
ye ek STRATEGY game hai.
es ki playstore RATING 4.6 hai.
es game ko 100 MILLION se bhi jyada baar download kiya jaa chuka hai.
es game ki download size 96MB hai.



3.CANDY CRUSH SAGA:-

es game ke baare me to aapne jrur suna hoga or khela bhi hoga, es game ko bnane vaali compeny ka naam KING hai.
es game me aapko bhot sari levels milti hai jis aapko pura krna pdta haj.
es game me aapko ek jesi dikhne vaali candy ko milana pdta hai or task pura kr ke level jeetni pdti hai. yhe bhi bhot popular game hai andriod ke liye. es me aap ko 5 lifes milti hai agr aap haarte hai to aapki life km ho jaati hai game me or fir se us life ko aane me time lgta hai.

yhe ek OFFLINE game hai.
yhe ek CASUAL game hai.
es ki playstore RATING 4.4 hai.
es game ko 500 MILLION se jyada baar download kiya ja chuka hai.
es game ki download size 72MB hai.



4.SHADOW FIGHT 3:-

es game ke baare me bhi aap me se adhiktr logo ne suna hoga or khela bhi hoga, es game ke phle 2 part bhi aa chuke hai jo bhot hit huve the SHADOW FIGHT 1 OR SHADOW FIGHT 2, 
lekin un me bs shadow hi fight krte huve dikhti thi but es me real characters fight krte huve dikhte hai.
yhe bhi bhot popular game hai andriod me.

yhe game ek OFFLINE OR ONLINE dono hi trhe se khela jaata hai.
es ki playstore RATING 4.4 hai.
es game ko 10 MILLION se bhi jyada baar download kiya ja chuka hai.
es ki download size 431MB hai.



5.SMASH HIT:-

es game ke baare me shayd aap me se jyadatr logo ne nhi suna hoga, es game ko bna ne vali compeny ka naam MEDIOCRE  hai.
yhe game me personal kudh bhi khelta hu, jb krne ko kuch nhi hota tb ye game ek acha time killer bn skta hai.
iska interface bhi acha hai.

yhe ek OFLLINE game hai.
es ki playstore RATING 4.5 hai.
es game ko 100 MILLION se bhi jyada baar download kiya jaa chuka hai.
es game ki download size 66MB hai.



6.WHERE'S MY WATER?:-

yhe bhi ek bhot populer game hai, or es game ko bna ne vaali compeny ka naam
DISNEY hai, jise hum sb jaante hai.
yhe ek trhe se MIND GAME hai, agr aap ko mind games psnd hai to me personally aap ko yhe game khelne ko kheta hai.
personally yhe mere sb se mnd psnd games me se ek hai.
es game me ek megrmach ko nhane ke liye pani phuchana pdta hai.
aap khel ke dekhiye es game ko, aap ko jrur acha lgega.
or es ka dusra part bhi aa chuka hai ab.

yhe ek OFFLINE game hai.
es ki playestore RATING 4.3 hai.
es game ko 100 MILLION se bhi jyada baar download kiya jaa chuka hai.
es game ki download size 55MB hai.




7.BADLAND:-

yhe game bhi ek bhot populer game hai, yhe ek trhe se classic game hai or acha game hai time pass krne ke liye,
es game ko bnane vaali compeny ka naam FROGMIND hai.
yhe game bhi mera ek favorite game hai.
es game se relax milta hai.
to aaj hi kheliye es game ko.

yhe game OFFLINE hai.
es ki playstore RATING 4.5 hai.
es ko 10 MILLION se jyada baar download kiya jaa chuka hai.
es ki download size 185MB hai.



8.BEACH BUGGY RACING:-

agr aap ko racing games pesnd hai or aap ko cartoons bhi pesnd hai to, me aap ko es game ko download krne ko jrur bolunga, kyo ki yhe el ultimate racing game hai.
or es game ko mene kyi baar khela hai.
es me alg alg jghe pr raching hoti hai or yhe funny hoti hai. es ko bna ne vaali compeny ka naam VECTOR UNIT hai.
es game ke graphics bhi bhot ache hai.
to ek baar jrur khel ke dekhe es game ko.

yhe OFFLINE or ONLINE dono trhe se khela jaata hai.
es game ki playstore RATING 4.5 hai.
es ki download size 78MB hai.
es game ko 50 MILLION se bhi jyada baar download kiya jaa chuka hai.



9.VECTOR:-

es game ke baare me bhi shayd aap ne suna hoga, yhe ek bhetrin game hai.
agr aap ko PARKOUR, FREE RUNING OR ACTION games psnd hai to me aapko ese download krne ko jrur bolunga.
yhe game ek classic trype ka action or free runing vaala game hai, es game me shadow dikhayi deti hai or yhe kyi trhe ke STUNT kr skta hai.
es game ko bna ne vaali compeny ka naam NEKKI hai.
es game ka dusra part bhi aa chuka hai, or vo bhi bhot acha hai.

yhe ek OFFLINE game hai.
es ki playstore RATING 4.4 hai.
es game ko 100 MILLION se bhi jyada baar download kiya jaa chuka hai.
es game ki download size 87MB hai.




TO Dosto Kysa lga aap ko mera ye blog Comment kr ke jrur btaaye, aage bhi ayse games ke uppr blog aate rhnge, kbhi computer games or kbhi andriod game.
or me bhi ek GAMER hu to aapke liye ache games hi laane vaala hu.

FOLLOW ME ON GOOGLE+
yha aane ke liye THANK YOU.

0 टिप्पणियाँ: